Tuesday, 11 April 2017

Namaaz


Alhumd padhna

Aur humne(Allah) tumko(S A W) saat aayatain jo namaaz me dhuhra ker padhi jatain hain yaani surah alhumd aurazmat wala qalaam aata farmaya hai [Al Hijr :87]

 

Qamiyaab Log

Jo gaib per Imaan latain aur aadab k sath namaaz padhtain aur jo kuch humne unko aata farmaya hai usmain se kharch kartain hain [3]..Aur jo kitab Aai Paigamber tum per nazil hui hai aur jo kitabain tumse pahele paigambaron per nazil hui hai sab per imaan latain aur aakhirat ka yakeen rakhtain hain[4]..Yahi log apney parvardigaar ki taraf se aayi huyi hidayat per hain aur yaahi log kamiyaab hain[5]…[Al Baqra]

 

Sunday, 2 April 2017

Quraan main Her cheez ka bayan hai


Quraan main Her cheez ka bayan hai
Aur humne tumper aaisi kitaab(Quraan) nazil ki hai usmain her cheez ka bayaan mufassal hai aur musalmano kay liye Hidayat aur Rahmat aur Basharat hai..[An Nahl:89]

Allah Hi Gaalib Hai


Allah Hi Gaalib Hai

Allah ne ye baat likh di hai ki mai aur mere paigamber zaroor gaalib rahainge,Beshak!! Allah Zoarawar Hai Saheb e Ektedaar hai..[Al Mojadelah:21]

Quraan Haq Hai


Quraan Haq Hai

Humne tum per ye kitaab(Quraan) logo ki hidayat kay liye Sacchai kay sath nazil ki hai to jo shakhs Hidayat pata hai apney bhaley kay liye to jo gumraah hota hai to gumrahi se apna hi nuksaan karta hai aur Aai Paigamber!! Tum unkay zimmedar nhi ho..[Al Zumar:41]

Quraan Noor Hai


Quraan Noor Hai

Wohi to hai jo apney bandey per wajah aayatain Nazil farmata hai taaki tumko andhere se nikal ker roshni main lain,Beshak!Allah tum per nehayat Shafkat karne wala hai,Meherbaan Hai..[Al Hadeed:9]

Quraan Ka Nigehbaan Allah Hai


Quraan Ka Nigehbaan Allah Hai

Beshak !!! ye kitaab(Quraan) nasihat hamhi ne utari hai, aur yakeenan hum iskay nigehbaan hain..[Al Hijr:9]

Quraan Shiffa Hai


 

Quraan Shiffa Hai

HIDAYAT

Logo tumhare paas tumhare Parvardigaar ki taraf se nasihat(Quraan) aur Dilon ki bimariyon ki shiffa aur Momino k liye Hidayat aur Rahmat aa pahochi hai..[Surah Yunus:57]
RAHMAT

Aur hum Quraan main wo cheez Nazil kartain hain Jo Momino kay liye Shiffa aur Rahmat hai..[Al Isra:82]