ISLAM
KE MUTABIK BAAT KARNA
Allah ki
beshumaar nemat me se ek nemat hai “ZABAAN’’ jisse allah ne hamain bolna sikhaya
….
“Isi{Allah} ne isko[Insaan] bolna
sikhaya..[Ar Rahmaan:4]’’
Allah ne
hamian sirf awaaz hi nhi diya.Balki, Ye bhi bataya ki, Kab Bolain,Kaha
Bolain,Kaha khamosh rhe,Kissey kaisa laheza ho sab kuch’’ hum paak aur mukaddas
kitab yaani “Quraan” sey seekh saktain hain aur Ahdees sey.Kyunki, Ye Quraan
Allah ka kalaam hai
‘‘Ye Kitab yaani Quraan Majeed ismain
kuch shak ni Allah ka kalaam[baat karna] hai Pahezgaron k liye Rahnuma(Rasta
dikhana) hai..[Al Baqra:2]’”
Allah
ki baat ni badla karti “Allah ki baton ko koi bhi badalne wala ni...[Al An’am:34]
Aur isi tarah hum(Allah) apni ayatain
khol khol ker bayan kartain hain taaki tum log un per amal karo [Al An’am:55]
Chaliye ab
jantain ki Allah ne hamain kaise baat karna sikhaya hai……
Awaaz
kaisi ho
Luqmaan ne apney betey se kaha,,
“Boltay
waqt zara awaaz nichi rakhna ,kyunki Bahot uchi awaaz gadhon ki si hai,Aur kuch
shak ni ki sabse buri awaaz gadhon ki hoti hai..[Surah Luqmaan:19]
Narmi
se apni baat kahain
Allah Tallah
ne Musa(A.S) se kaha,,
“Aur ussey
(Firon Se)narmi se baat karna,Shayad! Wo gaur kare ya der jaye..[Surah Ta
Ha:44]”
Gaal
na flulain
Luqmaan
ne apney betey se kaha,,
“Aur Takkabur kartey huey logo k samney gaal
na Fhulana..
[Surah
Luqmaan :18]
Soch
Samajh ker bolain
Allah
Tallah kahta hai,,
“Koi baat
iski(Insaan) ki zabaan per ni aati,Mager ek nigehbaan(Farishta) iskay paas likh
lene ko tayyar rahta hai..[Surah Qaaf:18]
“Uskay(Insaan)
aagey aur pichey Allah kay Chokidaar(Farishtain) hain,Jo Allah k hukm se uski
nigrani kartain hain..[Ar Ra’d:11]
Dusron
ko sikhane se pahele khud ko badlain
Allah
Tallah kahta hai,,
“Aai
Imaan walon! Tum aaisi baat kyu kahtey ho jo kiya ni kartey..[As Saff:2]
No comments:
Post a Comment