Tuesday, 11 April 2017

Namaaz


Alhumd padhna

Aur humne(Allah) tumko(S A W) saat aayatain jo namaaz me dhuhra ker padhi jatain hain yaani surah alhumd aurazmat wala qalaam aata farmaya hai [Al Hijr :87]

 

Qamiyaab Log

Jo gaib per Imaan latain aur aadab k sath namaaz padhtain aur jo kuch humne unko aata farmaya hai usmain se kharch kartain hain [3]..Aur jo kitab Aai Paigamber tum per nazil hui hai aur jo kitabain tumse pahele paigambaron per nazil hui hai sab per imaan latain aur aakhirat ka yakeen rakhtain hain[4]..Yahi log apney parvardigaar ki taraf se aayi huyi hidayat per hain aur yaahi log kamiyaab hain[5]…[Al Baqra]

 

Sunday, 2 April 2017

Quraan main Her cheez ka bayan hai


Quraan main Her cheez ka bayan hai
Aur humne tumper aaisi kitaab(Quraan) nazil ki hai usmain her cheez ka bayaan mufassal hai aur musalmano kay liye Hidayat aur Rahmat aur Basharat hai..[An Nahl:89]

Allah Hi Gaalib Hai


Allah Hi Gaalib Hai

Allah ne ye baat likh di hai ki mai aur mere paigamber zaroor gaalib rahainge,Beshak!! Allah Zoarawar Hai Saheb e Ektedaar hai..[Al Mojadelah:21]

Quraan Haq Hai


Quraan Haq Hai

Humne tum per ye kitaab(Quraan) logo ki hidayat kay liye Sacchai kay sath nazil ki hai to jo shakhs Hidayat pata hai apney bhaley kay liye to jo gumraah hota hai to gumrahi se apna hi nuksaan karta hai aur Aai Paigamber!! Tum unkay zimmedar nhi ho..[Al Zumar:41]

Quraan Noor Hai


Quraan Noor Hai

Wohi to hai jo apney bandey per wajah aayatain Nazil farmata hai taaki tumko andhere se nikal ker roshni main lain,Beshak!Allah tum per nehayat Shafkat karne wala hai,Meherbaan Hai..[Al Hadeed:9]

Quraan Ka Nigehbaan Allah Hai


Quraan Ka Nigehbaan Allah Hai

Beshak !!! ye kitaab(Quraan) nasihat hamhi ne utari hai, aur yakeenan hum iskay nigehbaan hain..[Al Hijr:9]

Quraan Shiffa Hai


 

Quraan Shiffa Hai

HIDAYAT

Logo tumhare paas tumhare Parvardigaar ki taraf se nasihat(Quraan) aur Dilon ki bimariyon ki shiffa aur Momino k liye Hidayat aur Rahmat aa pahochi hai..[Surah Yunus:57]
RAHMAT

Aur hum Quraan main wo cheez Nazil kartain hain Jo Momino kay liye Shiffa aur Rahmat hai..[Al Isra:82]

Quraan padhney Ka Tarika


Quraan padhney ka Tarika

*Auzobillah padhain

So jab tum Quraan padhne lago to Shaitaan mardood se Allah ki panah mang liya karo..[An Nahl:98]

*Bismillah padhain

Aai Nabi(S.A.W)!Apney Parwardigaar  ka naam leker padho jisney tamaam kainaat ko paida kiya..[Al  Alaq:1]

 

shukr kay faidey


Shukr

Nemat Badhti Hai

“Aur jab tumhare Parvardigaar ne tumko aagah kiya kiya ki shukr karoge to mai tumhe aur doonga,Aur ager na shukri karoge to yaad rakho ki mera ajaab bhi sakht hai..[Surah Ibrahim:7]”


“Aur Allah ne tumko tumhari maon ke sikam se paida kiya is haal main kit un kuch bhi na jantey they,Aur usney tumko kaan,aur ankhain aur dil aur inkey elawa aur ezaa bakhsey taaki tum shukr karo..[An Nahl:78]

 

Saccha Dost


Saccha Dost(ALLAH)

“Allah hi  to hai jiskay liye Aasmaan aur Zameen ki Baadshahat hai,Wohi zindegani bakhsta hai aur wohi maut deta hai aur Allah Kay siwa tumhara koi Dost aur Madadgaar Nhi Hai..[At Tauba:116]”

“kya tumhe maloom nhi Asmaan aur Zameen ki saltanat Allah hi ki hai aur Allah kay siwa tumhara koi Dost aur Madadgaar nhi hai..[Al Baqra:107]”

Allah kay Dost






 
Allah kay Dost
“JO asudgi main aur tangi main apna maal kharch kartain hain aur gussey ko roktey aur logo kay qosoor maaf kartain hain aur Allah nekukaron ko Dost rakhta hai..[Aal e Imraan]”
“Aur Allah Sabr rakhne walon ko Dost rakhta hai..[Aal e Imraan:146]”
“Beshak! Allah bharosa rakhne walon ko Dost rakhta hai..[Aal e Imraan:159]”
“Allah to Insaaf karne walon ko Dost rakhta hai..[Al Mumtahina:8]”
 



Baat karne ka Tarika


ISLAM KE MUTABIK BAAT KARNA

Allah ki beshumaar nemat me se ek nemat hai “ZABAAN’’ jisse allah ne hamain bolna sikhaya ….

“Isi{Allah} ne isko[Insaan] bolna sikhaya..[Ar Rahmaan:4]’’

Allah ne hamian sirf awaaz hi nhi diya.Balki, Ye bhi bataya ki, Kab Bolain,Kaha Bolain,Kaha khamosh rhe,Kissey kaisa laheza ho sab kuch’’ hum paak aur mukaddas kitab yaani “Quraan” sey seekh saktain hain aur Ahdees sey.Kyunki, Ye Quraan Allah ka kalaam hai

‘‘Ye Kitab yaani Quraan Majeed ismain kuch shak ni Allah ka kalaam[baat karna] hai Pahezgaron k liye Rahnuma(Rasta dikhana) hai..[Al Baqra:2]’

Allah ki baat ni badla karti “Allah ki baton ko koi bhi badalne wala ni...[Al An’am:34]

Aur isi tarah hum(Allah) apni ayatain khol khol ker bayan kartain hain taaki tum log un per amal karo [Al An’am:55]

Chaliye ab jantain ki Allah ne hamain kaise baat karna sikhaya hai……

Awaaz kaisi ho

 Luqmaan ne apney betey se kaha,,

 Boltay waqt zara awaaz nichi rakhna ,kyunki Bahot uchi awaaz gadhon ki si hai,Aur kuch shak ni ki sabse buri awaaz gadhon ki hoti hai..[Surah Luqmaan:19]

Narmi se apni baat kahain

Allah Tallah ne Musa(A.S) se kaha,,

“Aur ussey (Firon Se)narmi se baat karna,Shayad! Wo gaur kare ya der jaye..[Surah Ta Ha:44]”

Gaal na flulain

Luqmaan ne apney betey se kaha,,

Aur Takkabur kartey huey logo k samney gaal na Fhulana..

[Surah Luqmaan :18]

Soch Samajh ker bolain

Allah Tallah kahta hai,,

“Koi baat iski(Insaan) ki zabaan per ni aati,Mager ek nigehbaan(Farishta) iskay paas likh lene ko tayyar rahta hai..[Surah Qaaf:18]

“Uskay(Insaan) aagey aur pichey Allah kay Chokidaar(Farishtain) hain,Jo Allah k hukm se uski nigrani kartain hain..[Ar Ra’d:11]

Dusron ko sikhane se pahele khud ko badlain

Allah Tallah kahta hai,,

“Aai Imaan walon! Tum aaisi baat kyu kahtey ho jo kiya ni kartey..[As Saff:2]

 

 

 

 

 

Saturday, 1 April 2017

Allah Kaun Hai

Assalamalaikum,
 1. Allah kaun hai??
 Ans.Allah Asmaan aur Zameen ka noor hai [Al Noor ;35]